meri mahfil tha meri khalwat-e-jaan tha kya tha wo ajab shakhs tha ek raaz-e-nihan tha kya tha baal khole hue phirti thin hasinaen kuchh wasl tha ya ki judai ka saman tha kya tha hae us shokh ke khul pae na asrar kabhi jaane wo shakhs yaqin tha ki guman tha kya tha tum jise markazi kirdar samajh baithe ho wo fasane mein agar tha to kahan tha kya tha kyun 'wasi'-shah pe pari-zadiyan jaan deti hain mah-e-kanan tha shair tha jawan tha kya tha