rahe asir-e-qafas aashiyan na dekh sake bhari bahaar mein hum gulsitan na dekh sake bas ek jhalak hi ne behosh kar diya hum ko tere jamal ki ranaiyan na dekh sake dil-o-jigar tap-e-furqat mein jal rahe hain magar kabhi nikalta hua hum dhuan na dekh sake hamein to jab se ye zulmat-kada nasib hua kabhi hum apni bhi parchhaiyan na dekh sake hazar tarah se tadbir ki dil-e-nashad magar kabhi tujhe hum shadman na dekh sake rah-e-talab mein rakhe panw jab se ai 'fayyaz' junun-e-shauq mein sud-o-ziyan na dekh sake