meri mohabbat mein sari duniya ko ek khilauna bana diya hai ye zindagi ban gai hai man aur mujh ko bachcha bana diya hai jise kami ho wo aa ke le jae meri hasti se apna hissa mujhe ye lagta hai us ne mujh ko bahut ziyaada bana diya hai use khabar thi ki hum visal aur hijr ek sath chahte hain to us ne aadha ujad rakkha hai aur aadha bana diya hai main jaanta hun magar mujhe us fareb mein lutf aa raha hai sarab hai wo jise meri tishnagi ne dariya bana diya hai teri mohabbat ki khair jis ne jala ke khashak-e-jism-o-jaan ko wo aag bhadkai jis ne patthar ko aabgina bana diya hai to aur kya chahiye tumhein ek zamin de di kitab jaisi aur aasman par kalam karta hua sitara bana diya hai wo pir-e-mai-khana-e-falak in dinon bahut mehrban hai mujh par to khud surahi bana hua hai mujhe piyala bana diya hai