ye kis ke aane ke imkan dikhai dete hain dil o nigah ghazal-khwan dikhai dete hain wo ahl-e-dil jo tere aasre pe jite the rahin-e-gardish-e-dauran dikhai dete hain hamein to aaj bhi gham-ha-e-do-jahan hain aziz wo aur hain jo gurezan dikhai dete hain ek aag phir bhadak utthi hai dida o dil mein kuchh ashk phir sar-e-mizhgan dikhai dete hain ye kis ke jalwa-e-rangin ka aks hai 'shahzad' dil o nigah firozan dikhai dete hain