sab mukhalif jab kinare ho gae hum mein aur us mein ishaare ho gae aae aur baithe na kuchh shikwa nahin ye ghanimat hai ki bare ho gae jab chadh aai ru-ba-ru fauj-e-junun hum bhi sanmukh ho utare ho gae hijr ne us ko jalaya is qadar dagh sine par angare ho gae jaante the apne hum hosh-o-hawas yak nigah mein sab tumhaare ho gae chashm to teghe the aage hi miyan surma dene se do dhaare ho gae kan ke moti teri zulfon mein raat khalq ki nazron mein tare ho gae jab hue 'hatim' hum us se aashna dost bhi dushman hamare ho gae