meri mushkil agar aasan bana dete to achchha tha labon se lab dam-e-akhir mila dete to achchha tha main ji sakta tha bas teri zara si ek inayat se mere hathon mein hath apna thama dete to achchha tha meri betab dhadkan ko bhi aa jata qarar aakhir mere khwabon ki duniya ko saja dete to achchha tha tumhaari be-rukhi par dil mera bechain rahta tha kabhi aadat ye tum apni bhula dete to achchha tha kabhi is jald-bazi ka samar achchha nahin hota koi din aur chahat mein bita dete to achchha tha 'safi' aansu bhi dushman ban gae hain dekh le aakhir na in ko zabt karte tum baha dete to achchha tha