nagar mein rahte the lekin gharon se dur rahe ajib log the jo dilbaron se dur rahe duaen mangte phirte hain log galiyon mein mata-e-hosh hamare saron se dur rahe ye log kimiya-gar hain parakh na len hum ko ye baat soch ke wo be-zaron se dur rahe mata-e-dard lutate rahe zamane mein hum ahl-e-dard the saudagaron se dur rahe girun zamin pe main tut kar sitara sa magar sukun ki khwahish paron se dur rahe nikal ke khud se shanasai ki nazar dhundo jo log ghar mein rahe dusron se dur rahe badan hai shishe ke manind waqt ka iqbaal use batao ki hum pattharon se dur rahe