meri nawa meri tadbir tak nahin pahunchi ye mere khwab ki tabir tak nahin pahunchi tere jamal ka partaw aziz hai lekin teri ada teri taswir tak nahin pahunchi yahi bahut hai ki hum manzilon se ho aae hamari kaj-rawi takhir tak nahin pahunchi kaman se kaisi shikayat ki wo hai na-bina hadaf ki be-nigahi tir tak nahin pahunchi hamare dil se uthi hausla-shikan aawaz magar ye panw ki zanjir tak nahin pahunchi sisak rahi hai jo dahliz-khana mein dimak hazar shukr ki shahtir tak nahin pahunchi hawa mein uthte rahe hath be-sabab 'mohsin' chamak duaon ki tasir tak nahin pahunchi