watan se dur yaran-e-watan ki yaad aati hai

watan se dur yaran-e-watan ki yaad aati hai
qafas mein ham-nawayan-e-chaman ki yaad aati hai

ye kaisa zulm hai phir saya-e-diwar-e-zindan mein
watan ke saya-e-sarw-o-saman ki yaad aati hai

tasawwur jis se rangin hai takhayyul jis se raqsan hai
ghazal-e-hind-o-ahu-e-khutan ki yaad aati hai

kabhi laila-o-shirin gah hir-o-shohni ban kar
nirale yar ki banke sajan ki yaad aati hai

kahan ka khauf-e-zindan dahshat-e-dar-o-rasan kaisi
qad-e-mashuq-o-zulf-e-pur-shikan ki yaad aati hai