meri nazar ka muddaa uske siwa kuchh bhi nahin

meri nazar ka muddaa us ke siwa kuchh bhi nahin
us ne kaha kya baat hai main ne kaha kuchh bhi nahin

har zehn ko sauda hua har aankh ne kuchh padh liya
lekin sar-e-qirtas-e-jaan main ne likha kuchh bhi nahin

diwar-e-shahr-e-asr par kya qamaten chaspan huin
koshish to kuchh main ne bhi ki lekin bana kuchh bhi nahin

jis se na kahna tha kabhi jis se chhupana tha sabhi
sab kuchh usi se kah diya mujh se kaha kuchh bhi nahin

chalna hai rah-e-zist mein apne hi sath ek umr tak
kahne ko hai ek waqia aur waqia kuchh bhi nahin

ab ke bhi ek aandhi chali ab ke bhi sab kuchh ud gaya
ab ke bhi sab baaten huin lekin hua kuchh bhi nahin

dil ko bachane ke liye jaan ko sipar karte rahe
logon se aakhir kya kahen 'shahpar' bacha kuchh bhi nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close