raat bhi hai kuchh suni suni din bhi kuchh viran sa hai phul bhi hain kuchh sahme sahme bagh bhi kuchh hairan sa hai qarya qarya auj pe sar hain nok-e-sinan sarsabz si hai khanjar jhamken lal se goya gardan par ehsan sa hai daen baen aage pichhe patthar ki diwaren hain kis se kahiye aur kya kahiye jo bhi kahe nadan sa hai din se jo bhi raat mili hai girya ki diwar si hai raat se jo bhi din paya hai nuh ka ek tufan sa hai jis ko dekho aisa qatil chullu se jo khun piye jis ko dekho aisa sada jaise bas anjaan sa hai lete baithe chupke chupke chatte rahna zakhmon ko ranj ka kuchh izhaar nahin hai lutf ka ye saman sa hai basti basti aag lage aur galiyon galiyon khun bahe qudrat ka ye khel nahin hai qudrat ka farman sa hai