ye shahr-e-zat bahut hai agar banaya jae to kaenat ko kyun dard-e-sar banaya jae zara si der ko ruk kar kisi jazire par samundaron ka safar mukhtasar banaya jae ab ek khema lage dushmanon ki basti mein dua-e-shab ko nishan-e-sahar banaya jae yahi kate hue bazu alam kiye jaen yahi phata hua sina sipar banaya jae suna ye hai ki wo dariya utar gaya aakhir to aao phir usi reti pe ghar banaya jae ajab masaf sukut o sukhan mein jari hai kise wasila-e-arz-e-hunar banaya jae