musibat mein bhi ghairat-ashna khamosh rahti hai ki durweshon ki hajat to sada khamosh rahti hai khushi ka jashn ho ya matam-e-marg-e-tamanna ho yahan har haal mein khalq-e-khuda khamosh rahti hai shajar ko wajd aata hai na to shakhen lachakti hain bahaaron mein bhi ab baad-e-saba khamosh rahti hai meri chashm-e-talab mein khwab ka hangama khema-zan magar tabir misl-e-kaj-ada khamosh rahti hai darun-e-khana-e-dil roz o shab mahshar bapa lekin zaban apni barae-tajraba khamosh rahti hai chamak uthte hain jab chehre tab-o-tab-e-tamanna se to phir shaistagi-e-aina khamosh rahti hai mere chaaron taraf aks-e-tilism-e-samri raushan khamoshi chikhti hai aur sada khamosh rahti hai laraz jati hain palken ashk jam jate hain aankhon mein jab apni khwahish-e-be-sakhta khamosh rahti hai darakhton ki baghawat hai ki ye mausam ki be-rahmi ki jangal aah bharta hai hawa khamosh rahti hai