meri shaeri mein na raqs-e-jam na mai ki rang-fishaniyan wahi dukh-bharon ki hikayaten wahi dil-jalon ki kahaniyan ye jo aah-o-nala-o-dard hain kisi bewafa ki nishaniyan yahi mere din ke rafiq hain yahi meri raat ki raniyan ye meri zaban pe ghazal nahin main suna raha hun kahaniyan ki kisi ke ahd-e-shabab par mitin kaisi kaisi jawaniyan kabhi aansuon ko sukha gain mere soz-e-dil ki hararaten kabhi dil ki naw dubo gain mere aansuon ki rawaniyan abhi us ko is ki khabar kahan ki qadam kahan hai nazar kahan abhi maslahat ka guzar kahan ki nai nai hain jawaniyan ye bayan-e-haal ye guftugu hai mera nichoda hua lahu abhi sun lo mujh se ki phir kabhu na sunoge aisi kahaniyan