meri taqdir shikwa-sanj daur-e-asman kyun ho mile jab dard mein lazzat talash-e-mehrban kyun ho sharik-e-lazzat-e-azad koi ham-zaban kyun ho tumhin batlao mani-khez meri dastan kyun ho wahi dil hai wahi khwahish wahi tum ho wahi main hun meri duniya mein aakhir inqilab-e-asman kyun ho wo mere baad rote hain ab un se koi kya puchhe ki pahle kis liye naraaz the ab mehrban kyun ho bagulon mein ude jab khak mere aashiyane ki qafas ki samt hi yarab hawa-e-gulsitan kyun ho tumhein fariyaad-ras kahte hain main fariyaad karta hun tumhein aakhir batao phir ye koshish raegan kyun ho satana hi agar manzur hai kah do satate hain meri taqdir ke parde mein mera imtihan kyun ho hamein malum hai 'talib' haqiqat raaz-e-hasti ki magar is be-haqiqat ki haqiqat hi ayan kyun ho