meri taraf se ye be-khayali na jaane un ko khayal kya hai kabhi na puchha malal kya hai kabhi na dekha ki haal kya hai mubarak aghyar se talluq nai hai chahat naya tashshuq bala se hum ho gae tasadduq tumhein ab is ka malal kya hai tujhi ko jaana tujhi ko mana tujhi pa di jaan ghaebana chhupa nahin kuchh mera fasana ye ab jawab-o-sawal kya hai visal ho ya rahe jaddai tumhaari ai jaan jaisi marzi jo apni haalat thi main ne kah di ab aage meri majal kya hai nazar uthaen jo aarsi se to un se puchhun ye main hansi se lagai hai aankh kya kisi se kaho to ye dekh-bhaal kya hai dar-e-mohabbat ka ek gada hun pari ka talib na hur ka hun tujhi ko tujh se main chahta hun bas aur mera sawal kya hai kahan tak ai waizo ye jhagde maze uthane do be-khudi ke jo hosh mein hun to main ye samjhun haram kya hai halal kya hai bas ab mohabbat se hath uthao bhale ko kahte hain man jao na aap ko is tarah mitao 'jalil' dekho to haal kya hai