tishnagi achchhi nahin rakhna bahut rauzan-e-gul se use takna bahut dekh kar jis shakhs ko hansna bahut sar ko is ke samne dhakna bahut jis ki aankhon mein na jhanka jaega is ki hi tahrir ko padhna bahut mauja-e-reg-e-rawan hai zer-e-ab apni hasti dekh kar badhna bahut barf ki manind jina umr bhar ret ki surat magar tapna bahut umr bhar ki bandishen khwab-o-khayal do qadam bhi sath hai chalna bahut khastagi 'nahid' ban jae na jurm apni hasti dekh kar badhna bahut