meri taraf se zara apne dil ko saf karo jo ho sake to khatawar ko mu'af karo dil-o-nigah ki wus'at isi ko kahte hain harif ke bhi mahasin ka e'tiraf karo ba-zor-e-tegh mujhe tum jhuka nahin sakte zamane-bhar ko saf-ara mere khilaf karo nazar jhuka ke mere zikr par sar-e-mahfil tum ek bar mohabbat ka e'tiraf karo salib-o-dar muqaddar hain rast-goi ka ba-ehtiyat sadaqat ka inkishaf karo baja ho meri har ek baat lazmi to nahin tumhein ye haq hai ki tum mujh se ikhtilaf karo yahan khamoshi-e-ghairat ko kaun samjhega har ek sitam ka sar-e-bazm inkishaf karo jhulas na jae nai paud gulsitan ki kahin faza ko zahr-e-ta’assub se pak-o-saf karo utaro zehn mein ghazlon ki gul-badan pariyan 'shabab' zehn ko har raat koh-e-qaf karo