naumid-e-karam ho kar mayus-e-dua ho kar hum baith gae aakhir raazi-ba-raza ho kar in band guphaon se kyon hum ko lagao hai jin band guphaon se aae hain riha ho kar chhute hi mera chehra nam kar gai aankhon ko yaadon ke samundar se aai thi hawa ho kar kyon tutte rishton par ashk aa gae aankhon mein hone do agar koi jata hai khafa ho kar tu ne mujhe aise bhi din-raat dikhae hain rah jati hai jab duniya bas ek khala ho kar achchhe rahe jo pal pal mausam ki tarah badle kya pa liya hum ne bhi paband-e-wafa ho kar dushman pe 'shabab' apne kyon mujh ko na raham aae gali mujhe dushman ki lagti hai dua ho kar