meri tarikiyon se bhagta main tumhaari raushni se aa laga main diye jaisa badan dhanpe hue tha hawa hone ka dam bharta hua main hazaron ped hain is dasht mein aur hazaron mein kahin tanha khada main badan hun ruh ke is daere mein aur apni ruh ka hun daera main hawa mein jazb pani sokh lunga tumhaari khak se lipta hua main mere sine se lag kar so gaya wo use sine laga kar jagta main abhi dastak suni main ne lihaza badan ke sab daron ko kholta main teri baaton ko sunna bhul baitha teri baaton mein itna mubtala main tu jab tak sath hai mera khuda hai aur us ke baad hun apna khuda main