roz sham hoti hai roz hum sanwarte hain phul sej ke yunhi sukhte bikharte hain dil ko todne wale tu kahin na ruswa ho khair tere daman ki chashm-e-tar se darte hain subh tut jata hai aaina tasawwur ka raat bhar sitaron se apni mang bharte hain zor aur kya chalta fasl-e-gul mein kya karte bas yahi ki daman ko tar tar karte hain ya kabhi ye haalat thi zakhm-e-dil se darte the aur ab ye aalam hai chaaragar se darte hain yun tere tasawwur mein ashk-bar hain aankhen jaise shabnamistan mein phul raqs karte hain khun hamein rulati hai rah ki thakan 'bano' jab hamari nazron se karwan guzarte hain