wurud-e-jism tha jaan ka azab hone laga lahu mein utra magar zahr aab hone laga koi to aae sunae nawed-e-taza mujhe utho ki hashr se pahle hisab hone laga use shubah hai jhulas jaega wo sath mere mujhe ye khauf ki main aaftab hone laga phir us ke samne chup ki kadi labon pe lagi mera ye mansab-e-harf aab aab hone laga main apne khol mein khush bhi tha mutmain bhi tha main apni khak se nikla kharab hone laga zarur mujh se ziyaada hai us mein kuchh 'khalid' mera harif agar fatah-yab hone laga