meri teri duriyan hain ab ibaadat ke khilaf har taraf hai fauj-arai mohabbat ke khilaf harf-e-sarmad khun-e-dara ke alawa shahr mein kaun hai jo sar uthae baadshahat ke khilaf pahle jaisa hi dukhi hai aaj bhi budha kabir koi aayat ka mukhalif koi murat ke khilaf main bhi chup hun tu bhi chup hai baat ye sach hai magar ho raha hai jo bhi wo to hai tabiat ke khilaf muddaton ke baad dekha tha use achchha laga der tak hansta raha wo apni aadat ke khilaf