sar-e-rah kuchh bhi kaha nahin kabhi uske ghar main gaya nahin

sar-e-rah kuchh bhi kaha nahin kabhi us ke ghar main gaya nahin
main janam janam se usi ka hun use aaj tak ye pata nahin

use pak nazron se chumna bhi ibaadaton mein shumar hai
koi phul lakh qarib ho kabhi main ne us ko chhua nahin

ye khuda ki den ajib hai ki isi ka nam nasib hai
jise tu ne chaha wo mil gaya jise main ne chaha mila nahin

isi shahr mein kai sal se mere kuchh qaribi aziz hain
unhen meri koi khabar nahin mujhe un ka koi pata nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close