meri turbat par chadhane dhundta hai kis ke phul teri aankhon ka hun kushta rakh de do nargis ke phul ek din ho jaunga tere gale ka haar main sunghne ko mat liya kar hath mein jis tis ke phul bistar-e-gul par jo tu ne karwaten lin raat ko itr-agin ho gae ai gul-badan sab pis ke phul wasl-e-mahwash ka dila muzhda hamein de hai charagh jhadte hain har dam shab-e-hijran mein munh se is ke phul kuchh khabar bhi hai tujhe chal fatiha ke waste aaj hain ai shokh tere aashiq-e-muflis ke phul aur hi kuchh rang hai sine ke daghon ka mere is rawish ke hain kahan tere sipar par mis ke phul tu hai wo jo mahr-o-mah sham-o-sahar tujh par se war sim-o-zar ke phenkte hain bich mein majlis ke phul kya nawa-sanji karen ai ham-safiran-e-chaman aa gai fasl-e-khizan gulshan se sare khiske phul hain mah o khurshid jo sham o sahar tujh par se war sim o zar ke phenkte hain bich mein majlis ke phul kis ne sikhlai hai tujh ko ye rawish raftar ki mit gae qalin ke jo tere qadam se ghis ke phul phuljhadi se kam nahin mizhgan-e-ashk-afshan teri motiya ke dekhna jhadte hain munh se is ke phul rang-e-khub-o-zisht mein kyun farq samjhe hai 'nasir' khar bhi tu hai usi ka hain banae jis ke phul