ye tanhai ye uzlat ai dil ai dil jawani mein ye haalat ai dil ai dil nagar hota to koi baat bhi thi bayaban mein ye wahshat ai dil ai dil bhala kya is bhari duniya mein tanha wahi hai khubsurat ai dil ai dil kise hoti nahin us ki zarurat magar itni zarurat ai dil ai dil zamana chahiye dil jitne ko ye be-tabi ye ujlat ai dil ai dil ye aansu hain koi moti nahin hain lutate hain ye daulat ai dil ai dil 'shuur' aaya hua baitha hai kab se ye be-hoshi ye ghaflat ai dil ai dil