shab-e-siyah se jo istifada karte hain wahi charaghon ka matam ziyaada karte hain dilon ka dard kahan jam mein utarta hai harif-e-waqt ko hum gharq-e-baada karte hain purani talkhiyan daman bahut pakadti hain kabhi naya jo koi hum irada karte hain padi thi dil ki zamin jaane kab se be-masraf ab us mein yaadon ke but istada karte hain ajib daur hai ye jis mein sare danish-war dilon ko tang makan ko kushada karte hain ye aasman-e-watan kyun rida hamari hai hum is zamin ko kaise labaada karte hain