meri umr-e-rawan hai aur main hun

meri umr-e-rawan hai aur main hun
ye jins-e-raegan hai aur main hun

gham-e-gum-gashtagan hai aur main hun
ye dard-e-jawedan hai aur main hun

kahan ho karwan walo kahan ho
talash-e-karwan hai aur main hun

tasawwur mein bahaaren hain gul-afshan
nigahon mein khizan hai aur main hun

zara aawaz de ai daur-e-mazi
tera dard-e-nihan hai aur main hun

faqat meri khamoshi hai ghazal-khwan
sukut-e-bekaran hai aur main hun

chaman walo khabar bhi hai tumhein kuchh
ki yaad-e-ashiyan hai aur main hun

meri taqdir kante chun rahi hai
bahaar-e-bostan hai aur main hun

mere naghmat par khush hone wale
mera soz-e-nihan hai aur main hun

tarasti hain kharidaron ko nazren
lab-e-gauhar-fashan hai aur main hun

main apne aap ko gum kar chuka hun
ye ehsas-e-ziyan hai aur main hun

qarib-e-gulisitan phirta hun lekin
talash-e-gulsitan hai aur main hun

mere ashaar ki rudad 'azad'
mera khun-e-rawan hai aur main hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close