tujh se bahut qarib bhi tanha bhi the hamin the aabru-e-ishq pa ruswa bhi the hamin aankhon mein khun tha ki zamin thi lahu lahu zanjir-e-gham pahan ke tamasha bhi the hamin har har qadam pe ek nai diwar thi khadi us raat ke safar mein ujala bhi the hamin malum tha ye ishq nahin mat ka hai khel paspa hue the hum hi hawala bhi the hamin malum tha ki wahshaten apni bisat hain malum tha ki sham ka tara bhi the hamin aankhon mein khwab chubhte rahenge tamam umr ye dard-e-la-dawa tha masiha bhi the hamin ab yaad bhi na aao ki wada bhi tha yahi dasht-e-bala mein wada-e-farda bhi the hamin ai subh-e-nau-bahaar kabhi tu idhar bhi aa ahbab jaante hain ki tujh sa bhi the hamin