ye samundar hai kinare hi kinare jao ishq har shakhs ke bas ka nahin pyare jao yun to maqtal mein tamashai bahut aate hain aao us waqt ki jis waqt pukare jao dil ki bazi lage phir jaan ki bazi lag jae ishq mein haar ke baitho nahin haare jao kaam ban jae agar zulf-e-junun ban jae is liye is ko sanwaro ki sanware jao koi rasta koi manzil ise dushwar nahin jis jagah chaho mohabbat ke sahaare jao hum to mitti se ugaenge mohabbat ke gulab tum agar todne jate ho sitare jao dubna hoga agar dubna taqdir mein hai chahe kashti pe raho chahe kinare jao tum hi socho bhala ye shauq koi shauq hua aaj unchai pe baitho kal utare jao maut se khel ke karte ho mohabbat 'ajiz' mujh ko dar hai kahin be-maut na mare jao