tab ke kya hasil-e-wafa hoga ishq jab talib-e-saza hoga main hi shayad na sun saka yarab us ne kuchh to mujhe kaha hoga khud-parasti ho jis ki fitrat mein wo to be-sharm be-haya hoga phir mohabbat na karna chahoge mera fasana gar suna hoga gham mere sath tha hamesha se ab ke wo bhi zara khafa hoga khwahishen aur badhti jaengi kya yahi hasil-e-dua hoga kis ki aahat sunai deti hai zakhm shayad koi naya hoga thi usi dam pe thodi ranai ab khayal us ka bhi gaya hoga kaisa har samt ye andhera hai chand shayad bujha bujha hoga kya kaha zulm us ki fitrat hai us ko jaane de wo khuda hoga aandhiyon ko bhi kar raha raushan kaisa wo sar-phira diya hoga maut jis ko lage hai dushman si har ghadi dar ke wo jiya hoga maut ka khauf wo nahin rakhta ek lamha bhi jo jiya hoga apni hasti mita sakun 'nadim' is se badh kar junun kya hoga