mil bhi jata jo kahin aab-e-baqa kya karte

mil bhi jata jo kahin aab-e-baqa kya karte
zindagi khud bhi thi jine ki saza kya karte

sarhaden wo na sahi apni hadon se bahar
jo bhi mumkin tha kya us ke siwa kya karte

hum sarabon mein sada phul khilate guzre
ye bhi tha aabla-pai ka sala kiya karte

jis ko mauhum lakiron ka muraqqa kahiye
lauh-e-dil par tha yahi naqsh-e-wafa kya karte

ab wo shaalon ka qafas ho ki lahu ki khushbu
dil pe lahraati rahi barq-e-ada kya karte

mangne ko to yahan apne siwa kuchh bhi na tha
lab pe aata bhi agar harf-e-dua kya karte

hum ko khud arz-e-tamanna ka saliqa bhi na tha
wo bhi 'tanwir' bhala uzr-e-jafa kya karte


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close