mil chuke hain gulab se pahle aap ke intikhab se pahle hum tera e'tibar kar lenge mutmain hun jawab se pahle muntazir nind kah rahi hai ye dur hun iztirab se pahle pyar ka bhi sabaq zaruri hai ilm ki har kitab se pahle tham len hath dafatan un ka puchhna kya janab se pahle aap mein bhi nasha kahan kam hai kash aate sharab se pahle tab kahin wo jhalak dikhaega pak ho len sawab se pahle jawedan kaun hai zamane mein puchh len ye habab se pahle ai khuda bakhsh de hamein jannat dasht sahra sarab se pahle