zist kaise hasin ho jae aadmi jab machine ho jae mutmain hain khulus se hum to aap ko bas yaqin ho jae khwahish-e-nafs hai yahi har dam sath ek naznin ho jae log hain be-shumar jab dil mein kaise malik makin ho jae ishq nadan ka jab hua kaamil phir koi kyon zahin ho jae bhar gaya zindagi se dil ab to maut shayad muin ho jae janm hoga ki maghfirat hogi faisla ab mubin ho jae koi 'tanha' ghazal sunae to ruh taza-tarin ho jae