nahin mujhko hasrat ma-siwa pas ab uski yaad se kaam hai

nahin mujh ko hasrat ma-siwa pas ab us ki yaad se kaam hai
na wo ab shabab ke walwale na khayal-e-shisha-o-jam hai

main tere hi nam pe hun fida teri yaad ka mujhe aasra
tere sang-e-dar pe meri qaza meri zindagi ka payam hai

kabhi aah ki kabhi ghash hue kabhi dil ko tham ke ro diye
tere hijr mein hamein roz-o-shab yahi mashghala yahi kaam hai

jo nikal pade mere ashk-e-gham sar-e-bazm aap khafa na hon
jo ubal ke mil gai khak mein wo sharab fazil-e-jam hai

ye na puchho kitni hai dastan nahin sunna chahte so raho
kahun kaise apni zaban se main ki fasana mera tamam hai

jo guzar gaya koi rah-rau meri qabr par to ye kah utha
ye kisi jawan ki qabr hai ki udas jo sar-e-sham hai

huin chaar aankhen bhi gar kabhi to nigah sharm se pher li
ye ajab tarah ki hai dosti na salam hai na kalam hai

wo jo ek hai 'ali'-e-khasta-tan wo asir-e-zulf-e-habib hai
jahan dekhiye yahi tazkira yahi zikr sa sar-e-am he


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close