mil gai hai baadiya-paimai se manzil meri kaam aai hai bil-akhir sai-e-la-hasil meri panw dharne ko mayassar aa nahin pati zamin naw ruk jati hai aa kar jab lab-e-sahil meri ek kami meri tag-o-dau mein kahin maujud hai ho nahin pai abhi tak koi shai kaamil meri mil nahin pati khud apne-ap se fursat mujhe mujh se bhi mahrum rahti hai kabhi mahfil meri main yahin rah jaunga ho kar asir-e-dam-e-asr rah takta hi rahega mera mustaqbil meri kya bachaun dan mein kya dun samajh aata nahin daulat-e-dil mangta hai mujh se ek sail meri koi apne se gila hota na 'sajid' dahr se ghaur se ek baat sun leta agar ye dil meri