rah mein surat-e-naqsh-e-kaf-e-pa rahta hun har ghadi banne bigadne ko pada rahta hun umr-e-rafta na kabhi aae manane ke liye muddaten guzrin ki jine se khafa rahta hun sifat-e-kina mera ghar hai falak ke dil mein girah-e-dushman-e-khatir mein bandha rahta hun fitna-e-hashr ye kahta hai mujhe puchhe kaun daman-e-yar ke gosha mein pada rahta hun qaid hun par sitam-e-ghaflat-e-jauhar se 'munir' ghussa ban kar dil-e-zindan mein bhara rahta hun