mil gaya jab wo nagin phir khubi-e-taqdir se dil ko kya kya wahshaten hain sang ki tasir se jalta bujhta ek jugnu ki tarah tera khayal bas yahi nisbat hai apni raat ko tanwir se phir hawa ke hath par baiat ko dil betab hai aankh phir raushan hui hai gard ki tahrir se shab na jaane aankh par kya raaz ifsha kar gai khwab chaknachur ho kar rah gae tabir se khud-farebi hai ki is ko aagahi ka nam dun apni qamat napta hai aaj wo shamshir se is shikasta ghar ka girna yun laga mujh ko 'nizam' tut jae ek kadi jaise kisi zanjir se