wo jaise duniya chala raha hai faqat kahe ko nibha raha hai khuda ka jaane hai kya irada jo phir se hum ko mila raha hai shurua mein kuchh jhijhak to hogi tawil arsa khafa raha hai racha ke sanson mein meri ghazlen wo bansuri par suna raha hai nahin main us se khafa nahin hun jo shakhs mujh ko mana raha hai tujhe mohabbat ne das liya na ye nil sab kuchh bata raha hai minute ki soi se bandh kar wo ghadi mein hum ko ghuma raha hai main ek nazir wo ek musawwir kai manazir dikha raha hai hai samne hasht-pahlu rasta har ek se gautam bula raha hai aqab mein hai us ke mauj-e-sarkash habab ko jo bacha raha hai koi mukhatab nahin tha is ka mera sukhan be sada raha hai main sher kahne se dar rahi hun khayal himmat bandha raha hai