mohabbat mein to jaan-o-dil ka nazrana bhi hota hai kaf-e-afsos ko mal mal ke pachhtana bhi hota hai tujhe pa kar ye jaana ishq mein sari khushi pali tujhe kho kar ye samjha is mein gham khana bhi hota hai na phulon mein hai ranai na taron mein hai zebai bada be-kaif sham-e-gham ka afsana bhi hota hai mohabbat mein jab izhaar-e-mohabbat pe ho pabandi to dil ki baat ko aankhon se samjhana bhi hota hai ye teri be-rukhi tera taghaful bekali teri inhin ashkal mein is dil ko bahlana bhi hota hai shabab-e-husn pe zeba nahin hai naz ai 'khalid' kali jab phul banti hai to murjhana bhi hota hai