mil jaen azhdaham mein hum hi ye humse dur

mil jaen azhdaham mein hum hi ye hum se dur
ek ghar juda banaenge dair-o-haram se dur

jitne qadam zyaada hon utna zyaada ajr
ghar barahman ka chahiye bait-us-sanam se dur

shaddad shukr kar ki gai dar pe teri jaan
jab tha maqam-e-shikwa ki marta iram se dur

pairaw hun garche pas-e-adab bhi zarur hai
rakhta hun panw khizr ke naqsh-e-qadam se dur

chahun ki haal wahshat-e-dil kuchh raqam karun
bhagen huruf waqt-e-nigarish qalam se dur

dekha hai dam-o-dana ka dastur yan naya
khal-e-zaqan hi turra-e-pur-pech-o-kham se dur

dam bhar mein ja pahunchte hain yan ke muqim wan
ye marhala nahin hai sawad-e-adam se dur

hain khel sab munafi-e-shaukat ki ahl-e-jah
rah jate hain shikar mein khail-o-hasham se dur

'nazim' ye tar bijli ke nikle hai rah khub
baaten karenge yar ho kitna hi hum se dur


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close