mila bhi zist mein kya ranj-e-rah-guzar se kam so apna shauq-e-safar bhi nahin ghubar se kam tere firaq mein dil ka ajib aalam hai na kuchh khumar se badh kar na kuchh khumar se kam hansi-khushi ki rafaqat kisi se kya chahen yahan to milta nahin koi gham-gusar se kam wo muntazir hai yaqinan hawa-e-sarsar ka jo habs ho na saka baad-e-nau-bahaar se kam bulandiyon ke safar mein qadam zamin pe rahen ye takht-o-taj bhi hote nahin hain dar se kam ajib rangon se mujh ko sanwar deti hai ki wo nigah-e-sataish nahin singhaar se kam meri ana hi sada darmiyan rahi hael wagarna kuchh bhi nahin mere ikhtiyar se kam wo jang jis mein muqabil rahe zamir mera mujhe wo jit bhi 'amabar' na hogi haar se kam