tere didar ke sare marahil se zara pahle karunga mashwara bhi badr-e-kaamil se zara pahle samundar par karne ki khushi mein is qadar kuda ki kashti ho gai gharqab sahil se zara pahle lagi akhbar ki surkhi jo kanon mein to jag uttha kisi surat lagi thi aankh mushkil se zara pahle mujhe aaghosh mein lene se pahle kanpta dariya pukara hota tum ne kash sahil se zara pahle ghalat andaza tha khargosh ka kachhwe ke bare mein pahunchna hai pahunch jaenge kahil se zara pahle sawal-e-haq-parasti par ye bole hazrat-e-wais nipatne dijiye mujh ko to jahil se zara pahle yaqin paiham jo hota 'nazr' us ki pasbani ka na rukte aap ke phir panw sahil se zara pahle