mujh se saqi ne kahi raat ko kya baat ai 'josh' yani azdad hain parwarda-e-yak-zat ai 'josh' mast o begana guzar ja kura-e-khaki se ye to hai rahguzar-e-sail-e-khayalat ai 'josh' aur to aur khud insan baha jata hai kitna pur-haul hai tufan-e-riwayat ai 'josh' log kahte hain hijabaat nahin juz aayat kis se kahiye ki ye aayat hain khud zat ai 'josh' ahl-e-alfaz shariat pe mite jate hain kis ko samjhaun mashiyyat ke ishaaraat ai 'josh' dekhiye subh-e-junun zehn mein kab tale ho aql sunta hun ki hai ek abadi raat ai 'josh' quwwat-e-kal ke masaleh se aur itne bad-zan wae bar-daghdagha-e-ahl-e-munajat ai 'josh' saghar-e-mai hi mein hota hai tulu aur ghurub aafrin bar-dil-e-rindan-e-kharabaat ai 'josh' kaun manega ki hain ain-e-mashiyyat wallah zindagani ke ye bigde hue aadat ai 'josh' tujh ko kya faqr mein rahat hai ki shahi mein faragh tu to hai khalwati-e-pir-e-kharabaat ai 'josh'