wo garm aansuon ki rawani tamam raat dekha maal-e-soz-e-nihani tamam raat meri hi tarah aap kabhi meri yaad mein hon mubtala-e-soz-e-nihani tamam raat main aap ke huzur na hunga to dil mera hoga barae yaad-dahani tamam raat un ki bahaar-e-husn se aalam hi aur tha thi chandni bhi kitni suhani tamam raat rota nahin 'shafiq' hi un ke firaq mein karti hain wo bhi ashk-fishani tamam raat