milna na milna ek bahana hai aur bas tum sach ho baqi jo hai fasana hai aur bas logon ko raste ki zarurat hai aur mujhe ek sang-e-rahguzar ko hatana hai aur bas masrufiyat ziyaada nahin hai meri yahan mitti se ek charagh banana hai aur bas soe hue to jag hi jaenge ek din jo jagte hain un ko jagana hai aur bas tum wo nahin ho jin se wafa ki ummid hai tum se meri murad zamana hai aur bas phulon ko dhundta hua phirta hun bagh mein baad-e-saba ko kaam dilana hai aur bas aab o hawa to yun bhi mera masala nahin mujh ko to ek darakht lagana hai aur bas nindon ka rat-jagon se ulajhna yunhi nahin ek khwab-e-raegan ko bachana hai aur bas ek wada jo kiya hi nahin hai abhi 'salim' mujh ko wahi to wada nibhana hai aur bas