raKHt-e-safar ko khol kar ab hun qayam ke qarib

rakht-e-safar ko khol kar ab hun qayam ke qarib
dhup ke dasht se pare qariya-e-sham ke qarib

shakh se khinch kar mujhe lai hai bhuk khak par
rizq uthaun kis tarah rakkha hai dam ke qarib

puchha jo main ne kaun hai hurmat-e-lafz ka amin
us ne kaha ye bojh hai tere hi nam ke qarib

ye din jo pura wast se hai mere ghar ke sehn mein
is ki sahar hai dar ke pas sham hai baam ke qarib

ye jo hain zard saaten sabza hai un ki nok par
ye jo safed chup si hai ab hai kalam ke qarib

kitni imaraten khadi ki hain hawa ko khod kar
'shahin' ye kaam to nahin phir bhi hai kaam ke qarib


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close