nind chubhne lagi hai aankhon mein kab talak jagna hai raaton mein tum agar yunhi baat karte rahe bit jaega waqt baaton mein ungliyan ho gain figar apni chhup gaya hai gulab kanton mein shayad apna pata bhi mil jae jhankta hun teri nigahon mein sab hai tere sawal mein pinhan kuchh nahin hai mere jawabon mein jo nahin mil saka haqiqat mein dhundhta phir raha hun khwabon mein faisla to tumhin ko karna hai dekhte kya ho tum gawahon mein maslahat-kosh ho gaya 'mamun' ghir ke tanqid karne walon mein