milne koi mujhse mere andar nahin aata

milne koi mujh se mere andar nahin aata
andar mere jo bhi hai wo bahar nahin aata

kyun aae ho mere liye dastur na badlo
dariya ke liye koi samundar nahin aata

is karb ka aalam to musafir hi se puchho
jab sham guzar jati hai aur ghar nahin aata

sach baat to ye hai ki kare bhi to koi kya
aata hai bura waqt to kah kar nahin aata

shair to bahut se hain magar 'josh' the phir 'josh'
sab ke liye alfaz ka lashkar nahin aata


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close