zaKHm apna sa kaam kar na jae

zakhm apna sa kaam kar na jae
phir dard ki lai bikhar na jae

jab us ki nigah us taraf hai
kyun meri nazar udhar na jae

hai fasl-e-junun ki aamad aamad
pedon ka libas utar na jae

ab mujh se na mil ki zahr mera
nas nas mein tere utar na jae

muddat se mila nahin hun us se
wo mere baghair mar na jae

aisa to nahin ki laut jaun
ab aage jo ham-safar na jae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close